Saturday 7 September 2013

Dhoka Shayari


Dhoka Shayari

Dhoka Shayari is poetry on people who are heartless and often ditch others. Dhoka Shayari in urdu is loved by pakistani people. So we have lost of Dhoka poetry for our visitors.

Bas intaha hai choriye bas rahnay dijiye

Dhoka Shayari

Bas intaha hai choriye bas rahnay dijiye,

Khud apnay aitbaar sa sharmaa gaya hoon main..



Ye rahzano ki basti hai chaley chalo chup chap

Dhoka Shayari

Ye rahzano ki basti hai chaley chalo chup chap,

Dara hun esa ke mur kr na rasta dekhon..



Haal e dil to khul chuka is sheher mein..

Dhoka Shayari

Haal e dil to khul chuka is sheher mein har shakhs per,

Haan magar iss sheher mein ik bekhabar bhi dekha hai..



Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye..

Dhoka Shayari

Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye,

Kabhi ik baat hi se insaan toot ke bikhar jatey hain..



Yeh shart-e-mohabbat bhi ajjab hai..

Dhoka Shayari

Yeh shart-e-mohabbat bhi ajjab hai,

Pura utroon to wo meyaar badal deta hai..



Jo karta hai barre pyaar ki batain..

Dhoka Shayari

Zaahir main jo karta hai barre pyaar ki batain,

Andar se wohi shakhss hamara nahin hota..



Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko..

Dhoka Shayari

Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko,

Husn Walo’n Ki Saadgi Nahi Gayii…!!



Kuch log dhoka kha rahe hain..

Dhoka Shayari
Tuajub hai ke ishq_o_ashqi se,
Abhi kuch log dhoka kha rahe hain…



Har bat pe ranjishen, har bat pe hisab..
hoka Shayari
Har bat pe ranjishen, har bat pe hisab,
Goyaa maine ishq nahi, nokri kar li..

Dhoond ujrrey huye logon mein wafaa ke moti..

Dhoka Shayari
Dhoond ujrrey huye logon mein wafaa ke moti,
Yeh khazaaney tuje mumkin hai kharabon mein milain..
Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ka khawab

Dhoka Shayari
Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ka khawab,
Phir mere saamne woh rasta chala gaya..



Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main
Dhoka Shayari
Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main Mohsin,
Wo Shakhas Meri Souch Say Zayada Badal Gaya..
(qaleel;very less)



Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..
Dhoka Shayari
Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar Chalte,
Main Ne Mohabaat Main Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..!!


Wo Shakhs To Mujh Ko Mera Bhi Hony Nahi Deta..
Dhoka Shayari
Dekhay Ga Kisi Aur Ke Hamrah Wo Mujhy Kya,
Wo Shakhs To Mujh Ko Mera Bhi Hony Nahi Deta.

Tath mein pathar thamaa diye..
Dhoka Shayari
Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,
Phir sheher bhar ke hath mein pathar thamaa diye..
(thamaa;hand over)

No comments:

Post a Comment