December Shayari
December Poetry holds a special place in the hearts of literature lovers. The month of December is known to be cold and lonely month. December Poetry and December Shayari is all about Mausam (Weather) and loneliness.Kabhi jo toot ke barsa December..
December ShayariKabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna, Bohat apna December,
Guzar jata hai sara saal yun to,
Nahin kat’ta magar tanha december,
Bhala barish say kia sairaab hoga,
Tumharay wasl ka piyasa december,
Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin,
Bus itna yaad hai ke tha December,
Jama poonji yehi hai umar bhar ki..
Meri tanhai aur Mera December!
…
Kiyu har baat pe koste hain log december ko..
December ShayariKiyu har baat pe koste hain log december ko ??
Kiya december ne kaha tha mohabbat karo !!
…
December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai..
December ShayariDecember ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..
…
December phir se aaya hai..
December ShayariPhir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge,
December phir se aaya hai, phir se mil ke royen ge..
…
Zara si dair december ki dhoop mein bethen..
December ShayariZara si dair december ki dhoop mein bethen,
Yeh furstain humain shayed na agley saal milain..
…
December aansu’on mein beh geya hai
December ShayariKoi jazba adhoora reh geya hai,
December aansu’on mein beh geya hai,
Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Najane aaj woh kya keh geya hai,
Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai,
Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye yaad ke kya reh geya hai,
Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,
Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,
Tera Arshad akela reh geya hai..
…
Khud apne aap ko bhi muyassar nahi hoon mein
December ShayariIs Qeht-e-Dosti mein koi mujh se kya miley,
Khud apne aap ko bhi muyassar nahi hoon mein..
(qeht;shortage)
…
Teri khusbo ka taqub karo mosam mosam
December ShayariTeri khusbo ka taqub karo mosam mosam
tu mery hath mai aye tu hawa ho jaon
…
Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha
December ShayariChand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur Tanha Meri Zaat Hy,
Phr Toot Ke Wo Yaad Aaya Ajeeb December Ki Ye Raat Hy…
…
Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
December ShayariEk baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy
Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy
Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy
Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy
Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy
Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy
…
Zara si dair decenber ki dhop me daithen
December ShayariZara si dair decenber ki dhop me daithen,
Ye fursaten hamen shaid na agale saal milain.
…
Aye december kuch to hosh kar
December ShayariAye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua,
Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi…
…
Boht barasta tha na ye December bhi
December ShayariBoht barasta tha na ye December bhi..
Lagta hai ab isey bhi pyar ho gaya…..!
…
Tum ko Kaisi Lagti Hai, Chandni December ki !
December ShayariRaat Uss ne Poocha tha:
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma
Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
…
Teri yadon ki rawani or ye December
December ShayariTeri yadon ki rawani or ye december
Meri batein , teri kahani or ye december
Mera hath tera sath , lambi sarak or ye
December
Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye
December
Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye
December
Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye
December
Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh
December
Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye
December
…
No comments:
Post a Comment