Saturday, 7 September 2013

Bewafa Shayari





Bewafa Shayari

People dedicate Bewafa Shayari to the people who have ditched them and have cheated on them. Bewafa Shayari is one of the most read topic in Urdu poetry. Everyone knows that love hurts, but it hurts a hell more if someone cheats on you. Bewafa shayari covers all these topics.




Voh Aya Tha Mehfil Main Mgar Shoq Se Naheen..

Bewafa Shayari
Voh Aya Tha Mehfil Main Mgar Shoq Se Naheen,
Voh Betha Tha Pas Mere Mgr Dil Se Naheen,
Kaun Kehta Hain voh Pyar Naheen Karta,
Karta To Hain Magr Afsos mujhse Se Naheen..





Tum do Faraib, aur Mein Samjhun pyar Usay

Bewafa Shayari
Tum do Faraib, aur Mein Samjhun pyar Usay,
Ab itna bhi Saadgi ka, Zmana nahi raha..





Shayed yeh zamana unhe poojney lage..

Bewafa Shayari
Shayed yeh zamana unhe poojney lage,
Kuch log is kheyal se pathar ho gaye..





Mashwara-e-Muhabbat. . !

Bewafa Shayari
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi. . !
Tou behtar hai k ab us ko bhula daalo
K ab pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Ye tum ko baarha hum ne kaha bhi tha
Suno jana’n!
Gulabo’n se ye lamhay hain
Inhein khonay se pehlay hi sambhal jao
Khiza’n se dosti karna nahi acha
Magar tum ko tou zid si thi mitanay ki, jalanay ki, ganwanay ki
Jo tum ne aag bharkai thi haatho’n se
Tumharay apny daaman tak bhi aa pohnchi tou rotay ho?
Suno! pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.
To behtar hai k ab usko bhula daalo. . !





Dushmano’n se mohabbat hone lagi hai mujhe..

Bewafa Shayari
Dushmano’n se mohabbat hone lagi hai mujhe,
Jese jese doston ko aazmaata ja raha hoon mein..





Abhi Bhi Rok Lo Titli Ko Marnay Se. . !

Bewafa Shayari
Suno Jana!
muhabbat mein kisi ko panay ki ujlat
Dikha kar kia mila tum ko?
kabhi socha?
kabhi socha k tum ne mujh ko bhi to khaali khaali
jhootay raisham k hi dhaago’n mein
Ulajhney ki saza di hai
Suno! Mein ne tumhara kia bigara tha?
Ye sab kuch kyun kiya tum ne?
Mujhy youn zindagi se badguma’n kar k bhala kia paa liya tum ne?
Abhi bhi wakt hai tum rok lo, titli ko marney se
Khushbu’on ko nikherny se
Wagarna kal tumharay haath
yaado’n ki zara si raakh hogi aur kuch bhi to nahi ho ga
Abhi bhi wakt hai tum rok lo
Titli Ko Marnay Se. . !





Cherri Phir Aap Hi Ne Wohi be-Rukhi Ki Baat. . !

Bewafa Shayari
Cherri phir aap hi ne wohi be-rukhi ki baat. .
Phir aap ne chupa liya chehra naqaab mein. . !





Chalo itna tou nikla kaam baham aashnai se. . !

Bewafa Shayari
Chalo itna tou nikla kaam baham aashnai se. . !
Wafa se hum ho gaye aashna tum be-wafai se. . !





Chain leny nahi daiti hai us ki yaad ‘Sana’. . !

Bewafa Shayari
Chain leny nahi daiti hai us ki yaad ‘Sana’. . !
Naam bhi yaad jisay apna dilaya jaaye. . !





Mein rah’guzar mein khari hui hoon. . !

Bewafa Shayari
Mein rah’guzar mein khari hui hoon. . !
Tumhari khatir arri hui hoon
Dukho’n se daaman wasee hai mera
Inhi mein pal k barri hui hoon
Kisi ki mujh ko nahi hai parwah
Mein tery dil mein jurri hui hoon. . !





Ab Tou Keh Do Naa. . !

Bewafa Shayari
Mein aaj boht udaas hoon
koi nahi
Jis dil se veerani baant saku’n
Koi nahi
Jo mery behtay aansuo’n ko rok sakay
Koi nahi
Jo ik zara harf-e-tasalli de
koi nahi
Jo muskura k kahay
“Apni hasaas aankho’n ko takleef na de”
Ye moti merey dil pe girty hain
Koi nahi
Agar hai tou bolta kyun nahi hai. . !





Tou Laut Aana. .

Bewafa Shayari
Koi guzra hua lamha
Koi beeti hui sa’at
Tumhary dil k band dareechy mein chali aaye
Tumhain aisa lagay
K muddat baad
Tumhain dheemi c, meethi c
Kasak mehsoos hoti hai
Tumhain kuch yaad aata hai
Tou mery bhoolay huay saathi
Mery na-meherbaa’n
Palat aana, Palat aana
K meri sama’atain ab bhi
Tumhari ahat’on ki muntazir hain.





Hadood-e-Zindagi mein jab koi mushkil maqaam aya. .

Bewafa Shayari
Hadood-e-Zindagi mein jab koi mushkil maqaam aya. .
Na ghair’on ne tawajja di, na apna koi kaam aaya. . !





Sari duniya ki nigah’on sey gira hai majroh.!!

Bewafa Shayari
Sari duniya ki nigah’on sey gira hai majroh.!!
Tab kahi’n ja key teray dil mein jagha pai hai..





Suna tha tutey huay saaz khob bajtey hein.

Bewafa Shayari
Suna tha tutey huay saaz khob bajtey hein.!
Baraey khalus sey dil ka rubab laya hun..




No comments:

Post a Comment