Bewafa Shayari
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain
Aur phir se laut jati hain..
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain…
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi…
Pathar ki hai duniya Jajbaat nahi samajti,
Dikl me kya hai vo baat nahi samajti
Tanha to Chand bhi hai sitaron ke beech,
par chand ka dard vo raat nahi samajti…
Jaane kyu log hame aajmate hai
Kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
Sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
Log barish ko bhul jate hai…
Agar Bhigne ka itna hi shoq hai baarish me
To Dekho na meri aankhon me
Baarish to har ek ke liye hoti hai
Lekin ye aankhein sirf tumhare liye barasti hain…
No comments:
Post a Comment